Durood-E-Pak ki Fazilat
Hazrat Abu Al Mavahab frmaty kay mein ny khuwab mein Nabi-E-Kareem (Aap par Behad Durood-O-Salam ho) ko dekha. Nabi-E-Kareem (Aap par Behad Durood-O-Salam ho) ne Mujh sy farmaya kay: Qayamat kay din Tum aik lakh bandon ki shafa'at kro gy. Main ne arz ki: Ya RUSOOLULLAH ! Main kaisy is qabil hua? Irshad frmaya: Is liye kay Tum Mujh pr Durood-E-Pak parh kr is ka sawab Mujhy nazar kr dety ho. (Al Tabqat Ul Qubra Lil Sherani, Page101)
Rozana kam az kam 313 bar Durood-E-Pak parhny ki niyat kr li jiye.
No comments:
Post a Comment